Tuesday, 4 October 2016

Kya tum mere bin jee paoge - Shikha


Chali jaungi mai bahot door tumse
par kya tum khush hokar jee paoge,
Ishq e samundar mai saath saath hi
dubki lagaayi thi humne,
Teri chahat ko har pal alfazo mai
sametkar baya ki thi humne,
Ekdusre ke dukh ko apna mankar
aansu paunchhe the humne,
Kadam se kadam milakar har rah par
sang chalne ka wada kiya tha humne,
Tab jaakar rishto ki garima ko or
chahat ki gaherayi ko jaana tha humne,
Agar tum chahate ho to
bhul jaungi mai sabkuchh,
Labo ki pyari si muskan ,
vo teri pyari si baate,
Tere kandho pe sar
rakhakar mera baithna,
Vo tere saath pyar
bhari shararate karna,
Vo tera mere baalo mai
haath fairkar pyar jatana,
Muje dekhkar hi tere
labo pe hansi aa jaana,
Beeta dungi mai sara jivan
 teri yaado ke saath,
Par tum sach sach batao,
Kya tum mere bin jee paaoge,
Kya tum mere bin muskura paaoge?

Shikha


Shree neminath - jain stavan


Thursday, 29 September 2016

New and top songs


Non stop fusion garba


New zarmar - jain stavan


College ka safar - Shikha


Waqt ko thoda palta to kuchh yaad aaya,
Vo masum si masti vo pyara sa bachpan,

Vo college ki galiya, kitabo ki baate,
Hansna hasana or bahot sari masti.

Na koi jimmedari na koi tension,
Life mai thi sirf or sirf dosti or masti.

College ke saath aayi thi vo  shararate bhi,
Class bank karna or friends ke saath baithna.

Kuchh kar dikhane ki umange thi kahi,
To kahi kuchh kar guzarne ka hansla.

Aakhir Aa hi gaya vo college ka aakhri din,
Koi sapno ki udan se aage badhnevala tha.

To kisika sapna koi or roop lenevala tha,
Achanak se jaise yuvani mai pravesh kiya tha.

Sabke chahere udas the bichhadna to tha hi,
Koi apni manzil ki or jaate huye kadam se khush tha.

Kisime jawani ka josh tha to koi dar raha tha,
Kisiko sapne tutne ka dar to kisike sakar hona tha.

College mai vo sabka  aakhri din tha or
Zindagi ka naya roop sabko dekhna tha.

Us din sab juda huye or zindagi mai ulazte gaye,
College ka vo safar sirf yaado mai hi rahe gaya.

Shikha





Ae dil hai mushkil


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...