Thursday 29 September 2016

College ka safar - Shikha


Waqt ko thoda palta to kuchh yaad aaya,
Vo masum si masti vo pyara sa bachpan,

Vo college ki galiya, kitabo ki baate,
Hansna hasana or bahot sari masti.

Na koi jimmedari na koi tension,
Life mai thi sirf or sirf dosti or masti.

College ke saath aayi thi vo  shararate bhi,
Class bank karna or friends ke saath baithna.

Kuchh kar dikhane ki umange thi kahi,
To kahi kuchh kar guzarne ka hansla.

Aakhir Aa hi gaya vo college ka aakhri din,
Koi sapno ki udan se aage badhnevala tha.

To kisika sapna koi or roop lenevala tha,
Achanak se jaise yuvani mai pravesh kiya tha.

Sabke chahere udas the bichhadna to tha hi,
Koi apni manzil ki or jaate huye kadam se khush tha.

Kisime jawani ka josh tha to koi dar raha tha,
Kisiko sapne tutne ka dar to kisike sakar hona tha.

College mai vo sabka  aakhri din tha or
Zindagi ka naya roop sabko dekhna tha.

Us din sab juda huye or zindagi mai ulazte gaye,
College ka vo safar sirf yaado mai hi rahe gaya.

Shikha





No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...