Monday, 18 April 2016

Chahat ka ye kaisa asar - Shikha

 
Har ghadi har lamha sirf tuje hi yaad karte hai,
Naa jaane kyu chahat ka ye kaisa asar hua hai.
 
Sochte hai tuje khwabo mai bhi  tuje hi dekha karte hai,
Naa jaane kyu aapka ye kaisa jaadu muj par hua hai.
 
Dil gaya chain gaya, sukun na ab muje hai,
Naa jaane kyu pyar mai ye kaisa anjam hua hai.
 
Har pal dekhne ko tuje taras rahi ab nigahe hai,
Naa jaane kyu pyar ka ye kaisa diwanapan hua hai.
 
Ek teri hansi pe sabkuch kurban hum karte hai shikha,
Naa jaane chahat ka ye kaisa junun muj pe hua hai.
 
Shikha


 

Na samja kabhi usne pyar ko mere - Shikha

 
Na samja kabhi usne pyar ko mere,
Chal diya akele tanha yu chhodke muje.
 
Na yakin kiya usne baato pe mere,
Man liya usne jo duniya ne bataya use.
 
Pahele bhi tanha the ab fir se ho gaye,
Kya hua agar usne ye jata diya muje.
 
Na samja kabhi usne jazbbat ko mere,
Bhulna hai use tuta hua khwab samajkar muje.
 
Shikha
 
 
Ye ek aisi ladki ki dastan hai jo apne pyar se bahot pyar karti thi par usne kabhi pyar ko samja hi nahi..uski nazar mai pyar sirf  ek khel tha or kuch nahi..

Thoda sa sukun de do - Shikha

 
Tujse juda ab nahi rahe pate,
Koi to paigam hume bhej do.
 
Mana ki galti huyi hai humse,
Koi bhi saja hume tum de do.
 
Jaruri nahi ki tum mil jao humse,
Sirf pal do pal ka saath hi de do.
 
Mana ki tanhai mili hai kismat se,
Puri zindagi nahi  sirf ek sham de do.
 
Zaruri nahi ki sukun sabke dil ko mile,
Par tum aakar paas thoda sa sukun de do.
 
Shikha

Sunday, 17 April 2016

Aap suni zindagi mai humari - Shikha


Aap suni zindagi mai humari farishta banakar yu aaye,
Aapki chahat se zindagi humari mahekne lagi hai.
Pinjre mai kaid huye panchi ki tarah jee rahe the aise,
Aapki chahat se khule aasman mai fir se udne lage hai.
Na jana tha kabhi humne ki sachha pyar aakhir hota hai kaise,
Aapne aakar zindagi mai humari pyar ki barish kar di hai.
Har kadam par yu hi humare saath chalte rahena Shikha,
Ek pal bhi ab bina aapke rahena mushkil hone laga hai.
Shikha 



Friday, 15 April 2016

muje khabar thi vo mera nahi - ghazal


Pyar ki mahefil - Shikha


Aapke hi shaher mai ek baar fir se aayi hu,
Ishq E  Dastan sabse baya karne aayi hu.
 
Pyar ki mahefil se tujko nikharne aayi hu,
Tere ishq mai khud ko mitane aayi hu.
 
Sadiyo se mai sirf teri hi diwani rahi hu,
Tere ishq ke dariya mai khud ko lutane aayi hu.
 
Tum sirf mere ho yahi baat tumhe batane aayi hu,
Shikha ki pyar ki inteha ko tuje jatane aayi hu.
 
Shikha


 

Anmol haqiqat - Shikha

 
Rab ka diya hua masum tohfa ho tum,
Khud ko bhul jau vo Ishq e nasha ho tum,
Ab nahi aana honsh mai muje,
Zindagi ki bahot anmol haqiqat ho tum.
 
Shikha
 

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...