Monday, 7 November 2016

Pyar ki manzil - Shikha



Fir aaj usko duao mai yaad kiya hai maine,
Fir aaj beinteha chaha hai usko maine,
Fir aaj use sabse jyada yaad kiya hai maine,
Fir aaj mere dil mai use paya hai maine.

Par dekho bebasi ye kaisi meri hai,
Paas hote huye bhi vo mujse door hai,
khwab humare na jaane kaha khoye hai,
Yaado mai hi jaise umar gujar rahi hai.

Na jaane ye fasle kabhi khatam honge ki nahi,
Haatho ki lakiro mai uska saath jo nahi,
Vo agar dukhi hai to khush mai bhi to nahi,
Pyar ki manzil shayad kismat mai hi nahi.

Par uska kahena ye mujse hai,
Milenge hum ek din ye wada uska hai,
Kismat ne agar juda kiya hai to
Usi kismat ko fir se milana bhi hai.

Fir se ek baar hum saath chalenge,
Naye naye khwabo ko sajayenge,
Pyar ka naya aashiyana banayenge,
Zindagi ke har tufan se saath takrayenge.

Shikha


Dear readers, isme humne do pyar karnevale jab alag ho jaate hai or fir bhi unhone saath chalne ki ummid nahi chhodi hai bas yahi alfazo ke zariye batane ki koshish ki hai...ummid hai aap sabko pasand aayegi.....












Ye labo ki khamoshi - Shikha


Ye labo ki khamoshi na jaane kya kaheti hai,
Raaz dil ke ye na jaane kaise khol deti hai.

Aarzu ho tum meri itna bhi to jaan lo tum sanam,
Teri saanso se chalti hai saanse meri ye samjo tum,
Gale lagakar muje khud mai sama jaane do tum,
Ye pyar ki khamoshi na jaane kya kahe jaati hai.

Kaise ye ehesas hai mere samaj jao na tum sanam,
Teri hansi se raheti labo pe mere hansi ye jan lo tum,
Haath thamkar mera khud se jud jaane do tum,
Ye pyar ki khamoshi na jaane kya kahe jaati hai.

Ghazal mai meri banke alfaz sama jao na tum sanam,
Har lafzo mai bikhar rahi khushbu pyar ki ye jan lo tum,
Ruh mai Shikha ki basera karke saath chal do mere tum,
Ye pyar ki khamoshi na jaane kya kahe jaati hai.

Ye labo ki khamoshi na jaane kya kaheti hai,
Raaz dil ke na jaane kaise khol deti hai.

Shikha






Aisa do vardan ke dada - jain stavan


Wednesday, 2 November 2016

Romantic ghazals




Sapno ke bij - Shikha


Maine kuchh sapne sanjoye the,
Jab nazre teri nazar se takrayi thi,
Teri muskan pe mai fida huyi thi,
Saath tere zindagi bitani chahi thi,
Fir sanjo liye maine bhi sapno ke bij.

Sapne tere mere saath jeene ke,
Har lamha saath bitane ke,
Tuje pyar se gale lagane ke,
Tuje har pal  saath dekhne ke,
Rop diye the nanhe paudhe.

Ummid bhi yahi ki thi maine,
Ki kal jab ye ped bade honge,
Sapne bhi bade honge,
Dhime dhime vo sakar honge,
Or fir milega sundar fal muje.

Sapne sare bade ho rahe the,
Aankho ke samne khade jo the,
Koplen sari muskura rahi thi,
Nanhi kaliya khilkhila rahi thi,
Sapne badhne jo lage the.

Achanak hi ek tufan aaya tha,
Sapne sare bikharne lage the,
Saath hokar bhi tu saath na raha,
Zindagi jaise boj lagne lagi thi,
Zindagi jaise parihas ban gayi thi.

Shikha



Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...