Monday 7 November 2016

Pyar ki manzil - Shikha



Fir aaj usko duao mai yaad kiya hai maine,
Fir aaj beinteha chaha hai usko maine,
Fir aaj use sabse jyada yaad kiya hai maine,
Fir aaj mere dil mai use paya hai maine.

Par dekho bebasi ye kaisi meri hai,
Paas hote huye bhi vo mujse door hai,
khwab humare na jaane kaha khoye hai,
Yaado mai hi jaise umar gujar rahi hai.

Na jaane ye fasle kabhi khatam honge ki nahi,
Haatho ki lakiro mai uska saath jo nahi,
Vo agar dukhi hai to khush mai bhi to nahi,
Pyar ki manzil shayad kismat mai hi nahi.

Par uska kahena ye mujse hai,
Milenge hum ek din ye wada uska hai,
Kismat ne agar juda kiya hai to
Usi kismat ko fir se milana bhi hai.

Fir se ek baar hum saath chalenge,
Naye naye khwabo ko sajayenge,
Pyar ka naya aashiyana banayenge,
Zindagi ke har tufan se saath takrayenge.

Shikha


Dear readers, isme humne do pyar karnevale jab alag ho jaate hai or fir bhi unhone saath chalne ki ummid nahi chhodi hai bas yahi alfazo ke zariye batane ki koshish ki hai...ummid hai aap sabko pasand aayegi.....












No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...