Sunday 22 March 2015

Vo pagal sa ladka - Shikha



Bahar se nafrat thi,
Par dil me wo mere basta tha !
Wo pagal sa ek ladka,
Jo dekh ke mujhko hansta tha !!
Kyun thukraya ? mang ko uski,
Soch ke ab pachhtati hu !
Dil ke badle dil manga tha,
sauda kitna sasta tha !!
Kisse puchhu ? kaise puchhu ?
Kyun nahi deta ab dikhayi !
Roz guzarta tha wo idhar se,
Uska yahi rasta tha !!
Dard chhupa kar jeena uski,
bahut purani adat thi !
Bheetar-bheetar rota tha wo,
bahar-bahar hansta tha !!

Written and Sent by Neelam Sharma

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...