Saturday 8 November 2014

Tab dil ka durd aansu Mai chhalak jata hai

hello readers......is page mai hum jo bhi likhenge vo humare bhai ko samarpit hai......
humara pyara sa bhai..hum char baheno ka ladla bhai , humare mum dad ki aankho ka tara ...ek pyari si ladki ka hasin khwab...chhoti chhoti masum princess ka sabkuch.....vo ab is duniya ko chhodkar chale gaye hai....par dil hai na..bahot hi pagal hai..vo aaj bhi kahi na kahi ye ummid lagaye baitha hai ki humara bhai ek din jarur lautkar aayega....
bhai se hi to bahen ki nirmal kahani hai....bhai se hi to bahen i suhani yaade hai....ab bhai ke bina hum kya karenge....aankho se ashq tham nahi rahe the...dil mai bas ek hi sawal tha or shikayat thi us rabse kyo usne humare bhai ko humse door kar diya....
readers....din bitte gaye...par yaade kabhi saath nahi chhodti...aaj humare bhai ko 10 din ho gaye hai or humne bhi unse baate karne ka naya tarika dhundh liya hai....hum yaha pe unke liye kuch na kuch likh diya karenge...

Ye tasvir humare pyare bhai ki hai...jinhone har mod par hume saath diya...kabhi roye to hume hansaya bhi, kabhi ruthe to hume manaya bhi, kabhi danta to pyar se samjaya bhi, kabhi dost banakar , to kabhi teacher banakar, har mod par humara saath nibhaya...


Jab bhai bahen se door ho jata hai
Tab dil ka durd aansu Mai chhalak jata hai
Jo humesha muskuraye raheta tha
kaise vo aaj sabko rulaye jata hai.

Ye nazar talash bhai aapko barbar karti hai
aapki aawaz sunne ko bekarar raheti hai.
kaise bahelaye khud ko ki bhai ab nahi is duniya mai
ye shikha aapse Milne ki aaj bhi ummid karti hai.

Bhai aapke chale jane se humara pyar kabhi kum nahi hoga,
aapko yaad na karu aisa to ek bhi pal nahi hoga.
Bhai -bahen ka rishta kitna atut hota hai ye hum dikhayenge,
aap jaha bhi gaye ho muskurate rahena yahi humara pyar hoga.

Prakash ki bahen kahekar kisike bulane par naaz hota hai hume,
Door hokar bhi aap aaj door nahi hai ye hota hai ehesas hume.
zindgi ke ab tak ka safar aise saath milkar humne jo bitaya tha,
aap kahi se bhi bas aa jao fir  raheti hai ye ummid hume.
Umarbhar saath nibhane ka wada aapne jo kabhi kiya tha,
par har aahat pe aaj sirf aapki hi aawaz sunayi deti hai hume.
Jis lok mai aap gaye ho vaha se aaj tak koi nahi vapas aaya hai,
fir bhi lagta hai ki aap aayenge or ye aash raheti hai aaj bhi hume.

Hum kabhi bhai se khafa ho nahi sakte,
bhai-bahen ke rishte bewafa ho nahi sakte,
aap bhale hi chhodkar chale gaye ho hume,
hum aapke bina bhai rahe nahi hai sakte.

Mat samjana bhai ki hum jee lenge aapke bin,
aapke intezar mai yu hi palke bichhaye baithenge hum.

Chand se jab mulakat hoti hai,
aapke hi baare mai baat hoti hai bhai.
vo kaheta hai humare paas bahot sunder sitara hai,
humne kaha , vo sitara hi to humara pyara bhai hai.

Jis din humari zindgi se yu ozal ho gaye ho bhai,
aapko khokar tanhaiyo mai kho gaye hai bhai,
aapki yaado se lipatkar ashq bahate rahete hai,
aapke intezar mai aaj bhi palke bichhaye baithe hai bhai.

Rishta hai humara bhai-bahen ka,
to ise har haal mai nibhayenge hum.
Har pal mai aapko yaad karenge,
yaad karke aapko vapas bulayenge hum.
Pata nahi kis lok mai aap baithe honge,
aankho se ashq bahate bahate yaad kiya karenge hum.

Chandni ko khud pe itna gurur na hota,
Agar chand uske sath na hota.
Hawa mai kabhi itna nikhar na hota,
Agar fiza ka mausam uske saath na hota.
Shikha ka bhi shayarana andaz na hota,
Agar aap jaisa bhai ab tak uske saath na hota.

Humari shayari ke jazbbat sirf jakham baya kar sakta hai,
Jo humne apne bhai ko khokar ke mila hai.
Humari shayari ke alfaaz sirf dil ka durd baya kar sakta hai,

Jo humne apne bhai ki judai se mila hai. 

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...