Lekhak ki Ahemiyat
Dosto, aapko lag raha hoga ki ye kaisa topic hai , right? Ek Lekhak apne zahen se alfazo ke zariye chun chun ke moti rakhta hai tab jakar vo shabd aapke dil ko chhu Paate hai. Jante hai har kisiki hobby alag hoti hai or fir jisme humara interest na ho vo to hum padhte bhi nahi. Aajkal social media whats app pe kitne messages aise hote hai jinhe hum sab bina padhe delete kar dete hai. Kabhi bahot lambi story hoti hai to use padhne mai humari dilchashpi nahi hoti or vo aise hi delete ho jata hai. Par kabhi ye khayal aap sab ke man mai aaya hai ki jisne bhi ye likha hai usne kitni mahenat se ye likha hoga? Kai baar mai bhi aisa karti hu. Kai message bina padhe hi phone mai pade rahe hote hai. Aaj achanak hi dil mai ye khayal aaya ki ek lekhak ki ahemiyat aam insan ki zindagi mai kya hoti hai, shayad kuchh bhi nahi. Kai log aisa bhi bolte honge ki koi kaam dhandha nahi hoga tabhi ye karta hai, mere paas aisi bakvas padhne ya sunne ka time kaha hai. Har sikke ki do baju hoti hai vaise hi zindagi mai bhi do pahelu hote hai, possitive or nagative. Sabki apni apni soch hoti hai or usi soch se vo lekhak ka vyaktitav decide karti hai.
Agar Lekhak ki yahi baat ko jo log possitive sochenge vo log uska likha padhenge or sunenge bhi . Jo log padhenge usko uska likha ruh ko chhu jayega or bol uthega , kya kamal ka likha hai , wah maza aa gaya. Sahi hai na? Ab baat karti hu humare rishto ki. hum sab aam insan hai, jaruri nahi ki hum sab mai se sabhi apni baate apno ko bata pate ho. Tab vo kavita, shayari ya fir koi quote ka sahara lete hai or apno tak apne dil ki baat pahunchate hai. Kitni ajib baat hai na ? Thode time pahele mai jab mili thi kisiko or usne mujse kaha tha ki aap apne kaam zari rakho. Mana ki log jaldi kuchh padhte nahi par himmat mat harna . Us waqt vo baat bahot mamuli si lagi thi par aaj achanak se vo baat fir yaad aayi to Lekhak ki ahemiyat ko hi shirshak dekar usi topic pe likhne baith gayi .
Dosto, Jaha tak meri baat hai to mai bahot khush hu kyuki meri shayari, meri baate un logo ka rishta atut banati hai jo log khud kuchh bol nahi paate. Vaha pe meri shayari se vo apno ko dil ki baat pahuncha pata hai. Kai logo ne muje kaha ki Shikhaji aapki shayari ruh ko chhu jaati hai or muje khushi huyi tab kyuki meri koshish yahi raheti hai ki jo bhi likhu dil se likhu or jo use padhe uske dil ko chhu jaaye. Meri in baato se ab aap khu samaj jaoge ki lekhak ki ahemiyat logo ke jivan mai kya hoti hai.
Shikha
No comments:
Post a Comment