Tuesday 18 September 2018

Tumse milkar sikha maine - Shikha


Tumse milkar sikha maine ki pyar kya hota hai,
Pyar ke saath zindagi jina kitna pyara hota hai.

Tumse milkar sikha maine ki khwab kya hota hai,
Khwabo ko palko pe sajana kitna pyara hota hai.

Tumse milkar sikha maine ki hansna kya hota hai,
Hansi labo pe sajakar rakhna kitna pyara hota hai.

Tumse milkar sikha maine jine ka andaz kya hota hai,
Ekdusre ki saanso mai milkar jina kitna pyara hota hai.

Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...