Thursday 24 May 2018

Na jaane vo kaun sa khubsurat mitha sa pal tha - Shikha



Na jaane vo kaun sa khubsurat mitha sa pal tha,
Jis din tumne apna dil mere haatho mai diya tha.

Yakin nahi ho raha tha muje meri  kismat pe yaara,
Jis din tumne apni saanso ko mere naam kiya tha.

Waqt ret ki tarah haatho se fisalta hi jaa raha tha,
 Humare khwabo ne apna naya jahan bana liya tha.

Khwabo ke sang humara rasta tay hone hi laga tha,
Na jaane tabhi zindagi mai ye kaisa mod aaya tha.

Hum dono ki zindagi mai ek naya sa gul khila tha,
Maa shab ke ehesas ko jee bharke dil se jeeya tha.

Zindagi ka ye hasin safar tere saath yu bitta gaya,
 Bhagwan ne mano hume aapke liye hi banaya tha.

Shikha


No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...