Tuesday 30 October 2018

Jis din dulhan banke - shikha

Related image

Jis din dulhan banke mai tere paas aa jaungi,
Us din sara jaha ranberangi rango se saja hoga.

Tere sare khwabo ko apne khwabo se milaungi,
Us din humara pyara naya aashiyana saja hoga.

Tere sare armaano ko mai dil se pura karungi,
Us din humara aashiyana phoolo se saja hoga.

Humare pyar se mai apna naya jaha basaungi,
Us din humara aashiyana chahat se saja hoga. 

Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...