Tuesday 29 May 2018

Pyar tha vo ki koi tha fasana - Shikha


Pyar tha vo ki koi tha fasana,
Zahen mai raha vo hi afsana.

Jiske liye sabkuchh chhod diya,
Vo hi na ho saka kabhi mera.

Ruswa kiya har pal usne muje,
Rukte nahi ruka sailab mera.

Jab bhi maine tuje bulaya,
Na dekha tune dil tuta mera.

Sapno ki duniya dekhi maine,
Par sapna na ho saka mera.

Pyar nahi hai ye kaha tumne,
Aansu mai duba diya jaha mera.

Pyar tha vo ki koi tha fasana,
Zahen mai raha vo hi fasana.

Shikha


No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...