Thursday, 10 May 2018

Ab bhi teri ahat par - Shikha


Aankhe roshan hoti hai ab bhi teri ahat par,
In Hotho pe muskan aati hai teri hi ahat par

 Zakhm bhi bhul jati hu ab bhi teri ahar par,
Dil ko sukun milta hai ab bhi teri ahat par

Fizza rangin ho jaati hai ab bhi teri ahat par,
Bagiya mai bahar hai ab bhi teri ahar par

 Sajati hu ,sanwarti hu ab bhi teri ahat par,
Chand bhi muskurata hai ab bhi teri ahat par

Nindiya ud hi jaati hai ab bhi teri ahat par,
Chain  o karar khota hai ab bhi teri ahat par

Khwab sajne lagte hai ab bhi teri ahat par,
Dil khush hota hai ab bhi teri hi ahat par

Ab bhi teri ahat par ummid jag hi uthti hai,
Shikha diye jalati hai ab bhi teri hi ahat par

Shikha







No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...