Thursday 2 November 2017

Pyar ki roshni - Shikha



Pyar ki roshni ne jivan ko mere mahekaya hai aise,
Gulistan phoolo ki  mahek se mahekta ho  jaise.

Har pal har janam saath tera mere jivan mai rahe aise,
Chand or suraj apni roshni se chamkte ho jaise.

Tere aks ko maine apni aankho mai chhupaya hai aise,
Samunder apni gaherai ko pani se chhupati ho jaise.

Teri ek pal ki judai ka asar bhi ab dil pe hota hai aise,
Pankh ke bina panchhi tadapta raheta ho jaise.

Simat ke baaho mai tujse gale lag jaaye aise Shikha,
Gagan or gharti door kshitij mai milte ho jaise.

Shikha








No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...