Apni pahechan banana har koi chahta hai. Uske liye athag parishram or mahenat bhi karta hai. Mana ki ye rah aasan nahi hoti, or sabke liye mumkin bhi nahi hota.
Pahechan ek aisa shabd hai jise pane ki chah har kisi ko hoti hai. Bachhe jab chhote hote hai tab vo apne mata pita ke naam se pahechane jaate hai. Par vahi bachhe jab bade hote hai to vahi mata pita chahte hai ki unka bachha kuchh aisa kare ki log bole ki dekho ye inke mata pita hai. matlab ki vahi mata pita apne bachhe ke naam se pahechane jaane mai proud feel karte hai. Duniya ki is bhid mai har koi apni alag pahechan banana chahta hai. or ye bilkul galat bhi nahi hai.
Par ab sawal ye hai ki apni pahechan banane ke liye unhe kai kathin rasto se gujrana padega. baithe baithe asani se to kuchh bhi nahi milta. or jab vo nirantar apni manzil ki or badhta raheta hai or aakhir kar use apni manzil mil hi jaati hai tab tak unki aayu ke kitne varsh ho chuke hote hai jaha pe ek paripakvta hoti hai, samaj hoti hai. kya sahi kya galat vo aasani se parakh pata hai. par in sabke bich agar aapka ego aa gaya to samjo aap gir hi gaye. kyuki duniya mai aise kai famous log hai jinhone itni success payi hai life mai par fir bhi unka savbhav aisa hi nirmal hai , vinamra hai jo pahele tha.
Kaamyabi mai nasha to bahot hota hai or ye har koi janta hai jiske liye hum abhiman shabd use karte hai. abhiman or swabhiman mai bahot antar hota hai. Swabhimani hona sabke bas ki baat nahi hoti.
Apni pahechan banane ke saath saath dusri bhi bahot sari jimmedari hoti hai jise bakhubi nibhani hoti hai. chahe vo koi bhi vaykti ho. Aaj ye duniya badal gayi hai. Pahele shadi ke baad ladkiya apne husband ke naam se pahechane jaane mai Gaurav mahesus karti thi. Par aaj koi bhi kshetra ho ,ladkiyo ko bhi koi pabandi nahi hai. vo jaha jaana chahe jaa sakti hai. kyuki uske mata -pita bhi chahte hai ki uski bhi koi pahechan ho. Isiliye shadi ke baad bhi vo apni pahechan khud banati hai or usise vo jaani pahechani jaati hai.
Shikha
No comments:
Post a Comment