Wednesday 28 September 2016

Jivan ki chah - Shikha



Mere rang be rangi jivan ki chah bas itni chhoti si thi,
Kuchh sapne ko manzil tak pahunchane ki tamnna thi,
Tum mile to jaise sapno mai khone lagi thi,
Ummido ke pankh liye udne lagi mai thi,
Par shayad har chah kaha puri hoti hai?
Maine tumhe bhi to dil ki gaheraiyo se chaha tha,
Dil se tumhare saath mera har pal gujarna chaha tha,
Kyu tune pyar ko mere kabhi  pahechana nahi tha,
Ek hi pal mai jaise sabkuch bikhar sa  gaya tha,
Tere hi aaspaas mere khwabo ko naya aasma mila tha,
Tab bhi to vahi kiya tha maine jo tumne chaha tha.

Shikha


No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...