E meri maa , aaj bhi hu mai teri hi dulari,
Hu pyari aaj bhi par kabhi na ban paayi dulari.
Beti thi tere aangan ki fir bhi rahi sada parayi,
Di thi tune maa puri aazadi fir bhi zanzir pairo mai thi.
Nahi bada hona tha muje or na tujse door jaana tha,
tere aanchal ki chhav mai humesha rahena chahti thi.
Ek din aaya pardesh se koi rajkumar or bhej diya tune tha,
Ek anjaane shaksh ke saath ab zindagi bitani muje thi.
Ek ajeeb sa dar tha dil mai , na koi bhi apna tha ,
yaha thi bahot sari jimmedariya , chup rahene ki lachari,
Sab kuch chupchap sunna tha or sahena bhi tha,
babul tere diye sansakar ko jo muje dipana tha.
Din bitte gaye or teri beti achanak se hi badi hoti gayi,
Sare parivar ko ek dhage mai bandhkar chalne lagi.
Kai sapne tute to kai naye sapno ke sang udti gayi,
Kabhi mili khushiya to kabhi aansu se zindagi chalti rahi.
Ye aaj bhi duniya ki har beti ki kahani hai shikha,
uski khud ki pahechan ko vo har pal dhundhti rahi.
Shikha
No comments:
Post a Comment