Wednesday 8 June 2016

Ek saathi mil gaya - Shikha


Kuchh saal pahele zindagi mai hum tanha the,
Fir ek din achanak door se ek saathi mil gaya.

Saath chalne laga humare vo kuch aise ki,
Sari khushiyo se daman hamara sajta gaya.

Haatho se fisalti ret ki tarah din gujarane lage,
Dil ko jaise apna  manzil e karva mil gaya.

Fir ek din achanak aandhi aayi kahi or se,
Saathi humara humse bahot door chala gaya.

Na kuchh bhi smaaj mai aaya ki hua ye kaise,
Par zindagi ka rasta fir se aaj viran sa ho gaya.

Shikha



No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...