Tuesday, 20 December 2016

Pyar ka rang - Shikha


Koi ek aisa shaks hai jo bas gaya hai meri hi rooh mai,
Jisne pahechana hai muje duniya ki is bheed mai,
Kar dikhayenge kuchh aisa uske hum par vishwas mai
Jeet lenge hum sari duniya kyuki ab vo mere saath hai.

Kal kisine humse puchha tha ki aakhir kya hai tu,
Meri pahechan kya thi us waqt khud mai bhi nahi janti
Aankho mai aansu liye sirf itna hi kaha tha humne,
Banayenge naam apna or roshan honge mere bhi sapne.

Ek din vo shaks mil gaya tha anjani raho pe kahi,
Or saath laya tha vo jaadu ki chhadi pyar ki fuhar,
Sapne humare lene lage the roop haqiqat ka,
Ban gaye hum bhi shayar naam roshan kar liya apna.

Vo khas hai jo ban gaya hai humari zindagi ka saathi,
Humne to chahi thi dosti par usne kaha tu pyar hai mera,
Khud ko bhulkar unki baaho mai khud ko aise samet le,
Pyar ka rang hi rahe Shikha par baki sare rang bhul jaaye.

Shikha


No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...