Wednesday 14 December 2016

Dosti - Shikha


Hello readers, aaj kuchh purani yaade taaza ho gayi, or saath mai yaad aaye vo dost bhi jinke saath hum apna waqt bitate the. Tabhi humare zahen mai ye khayal aaya ki kyu na aaj dosti pe kuchh likha jaaye.

To dosto, kya hoti hai ye dosti? Dosti ek aisa aina hai jo kabhi juth nahi bolta. Aapko aapke vayktitav se dost hi parichay karvata hai. Jab aap galat hote ho to aapko  pyar se samjakar ya fir dantkar vo hi sahi rah dikhata hai. Jivan ke anmol pal hume dosto se hi to milte hai. Dost jo aapke such dukh ka saathi hota hai, vahi aapko himmat bhi deta hai. Jab aapko sahi maine mai dost ki jarurat ho or vo aapke saath khada rahe vahi sachha dost hota hai. Dost vo hota hai jo aapko aapse bhi bahetar janta ho or samjta bhi ho.

Par ha, sachhe dost itni aasani se thodi na milte hai. Zindagi ki har rah pe dost to ban jaate hai par jo saath nibhate hai vo kabhi aapko akela nahi chhodte or vahi sachha dost hota hai. Dost ke bina zindagi mai khushiya kaha hoti hai..na labo pe hansi hoti hai na dil ko sukun hota hai..aisi hoti hai dosti.

Kai baar dekha  hai humne ki jo baate alfazo mai sanjoye likh dete hai vo kisi na kisi ki zindagi se judi baate hoti hai or vo jab padhta hai to use apni sari baate yaad aa jaati hai ..kyuki vo un mai khud ko dhundhne lagta hai. bite huye pal uske samne aa jaate hai. Par in sabse jyada vo yaade dil pe chhayi hoti hai jo apne dosto ke saath biti huyi hoti hai.

Rishte to sare apne aap mai bahot hi khas hote hai par vahi rishta jab dosti mai tabdil ho jaata hai tab vo rishta anmol ho jaata hai. Chahe vo rishta maa-beti ka ho , ya fir bahen - bahen ka ho, Bhai- bahen ka ho ya fir pita - putri ka ho , ladka- ladki ka ho ya fir husband -wife ka ho. par ye sare rishte jab dosti ki duniya mai pravesh karte hai tab vo sare rishte amulya ho jaate hai. Aisi hoti hai dosti.

Dosti mai na kabhi har-jeet hoti hai na kabhi ruthna - manana hota hai. Dost kabhi ekdusre se ruthte bhi hai to bhi usme uska pyar hota hai kyuki dusre hi pal mai dono mai se ek pahel karega or dono saath nikal jayenge. yahi dosti hoti hai. dosti mai kaisa apmaan or kaisa maan. ye to dil ka dil tak ka anmol rishta hai. Jiski dor kabhi nahi tutti.

Dosti ek anmol bandhan hai jinka jivan mai hona humari jarurat bhi hai or haq bhi hai. Yahi samajik jivan ka satya hai ki samaj mai koi bhi bina kisi dost ke bina nahi rahe sakta. ek aisa dost jiske saath vo apni sar baate share kare. or mushkil ke waqt vo aapke saath kahada bhi rahe. Yahi hai dosti.

Humare dost humare liye humari jaan se bhi badhkar hai. Nahi jee paate hai hum unke bina. Aaj hum sab ekdusre se bahot door hai fir bhi sab humare aaj bhi karib hai. door hone se dosti kamjor to nahi ho jaati. Har lamha har pal yaad kiya hai humne or humesha karte rahenge. Dosti ki hai to nibhani to padegi hi. 



Shikha





No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...