Vo jo har pal shaamil hai meri shayari ke har jazbbato mai,
Kabhi tanhai mai vo bhi to muje yaad karte honge.
Jiske liye mera ye dil bekarar raheta hai uske hi khayalo mai,
Kabhi akele mai vo bhi to apna dil e karar ganvate honge.
Jisse Izhaar e ishq karne ke liye puri duniya se lad jau mai,
Kabhi duniya ke samne vo bhi humse ikrar karna chahte honge.
Jiski yaado mai raato ko gaheri nind se bhi uth jaaya karti hu mai,
Kabhi kabhi vo bhi raat ko yaado mai meri jagte rahete honge.
Jiski wafa ki roshni se hai har pal ujala mere dil e aangan mai,
Kabhi kabhi vo bhi to mere pyar ke dipak jalate honge.
Durd e judai bhagwan ne likhi hai kya sirf Shikha ki kismat mai,
Kabhi kabhi kya meri judai mai vo bhi to aansu bahate honge.
Shikha
Readers, ye koi mere jivan ki kahani nahi par kisi na kisi ke jivan ki kahani jarur hogi. Isme ek premika apne premi se door hai or uski jo halat hai usiko maine yaha pe thoda bahot dikhane ka prayas kiya hai. Sachhi tadpan to vo hi insane baya kar sakta hai jisne aisi tadpan ko saha ho...aap sabse namra gujarish hai ki humari bhulo ko nazar andaz kare..
No comments:
Post a Comment