Saturday 23 April 2016

Suhana sa safar - Shikha


Ek suhana sa safar raha humari muhobbat ka,
Banaya humne baato se hi pyara sa aashiyana ,
Bahot sari masti ki or silsila chalta raha muhobbat ka.
 
E sanam, kaise kare hum chahat ki dastan ko baya,
Chand sa roshan or masum sa chahera tha Aapka,
Kabhi ruthe kabhi mane or silsila chalta raha pyar ka.
 
Kaisa ajeeb sa ye pyar tha humara or aapka sanam,
Phoolo si pyari hansi or bholapan tha pyar mai aapka,
Pata hi nahi chala saath aapke samay kaise sarkta chala gaya.
 
Wada karo humse aap bhi kabhi pyar ye khatam na hoga,
Chanchal sa man aapka or har andaj tha nirala aapka,
Shikha ki kasam hai aapko kabhi dil se juda na hona.
 
Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...