Ek aisi ladki ki dastan hai jisne har mushkil ka dantkar samna kiya or sabke dilo mai apni khas jagah bhi banayi..
Masum si bholi si vo pyare se gulshan ki kali thi,
Pyar ke siva sikha usne kuch bhi nahi.
Rishto ko kaise sambhala jaaye usse vo anjan thi,
Ek din achanak kisi ajnabi ke sang chal di thi.
Nayi raah pe use apne kadam ko sambhalkar chalna tha,
Saath uske koi nahi sirf uska haunsla tha,
Mata Pita ne diye sansakaro ko use dipana tha,
Bhai bahen ke pyar ko sabke dilo mai roshan karna tha.
Raste pe uske har mod pe kai mushkile aati gayi,
Na jisne kabhi aansu bahaye uski aankho se aansu ki dhar baheti gayi.
Khud hi royi, tutkar bikhar gayi or khud hi khud ko sametti rahi,
Ek nayi subah ki aash mai nayi suraj ki roshni mai hansti gayi.
Aakhir vo din bhi aa hi gaya jab vo kisike dil ki dhadkan ban gayi,
Apne ghar mai sabke dilo mai usne apni khas jagah bhi banayi,
Zindagi ko bahot karib se jeeya or use parkha bhi,
Uske chahere ki sirf ek hansi sare chahere ki muskan ban gayi.
Shikha
No comments:
Post a Comment