Saturday, 5 March 2016

Aaj nari shakti ka din hai - Shikha

 
 
Aaj nari Shakti ka din hai,
Vo Shakti jo har nari mai chhupi hoti hai.
Meri nazar se dekha jaaye to
Nari hai har kadam pe samarpan ki murat.
 
Sneh, karuna , pyar ka samarpan,
Samarpan seva ka , smarpan matrutav ka,
Nari ka koi bhi roop mai paas hona,
Purush ko ek Shakti pradan karta hai.
 
Nari ka saath uske zahen mai ek vishwas jagata hai,
Tapti dhup mai vo chhav ke jaisi shitalta pradan karta hai,
Ashant man ko shanti se sthapit karti hai,
Bahen, beti , dost, priyatama, patni , maa kai roop hai uske.
 
Kathin raho pe chalke khud vo rasta aasan karti hai,
Andhero mai simti huyi zindagi ko vo roshni deti hai,
Nayi ummid jagati hai, nayi raahe dikhati hai,
Sabki zindagi ko khushiyo se vo bhar deti hai.
 
Aisi nari Shakti ke hum karjdar hai,
Hum runi hai nari ke is pyar ke,
Hum runi hai uske tyag or samarpan ki bhavna ke,
Shukriya is sansar ki sabhi nari ka,
Is sansar ki har nari ko shat shat naman karti hu.
 
Nari ke bina ye jivan adhura hai,
Ye shrushti ruk jaati hai,
Bhagwan ka bheja hua pyara sa tohfa hai nari,
Prakruti ka dujaa roop hai nari.
 
E nari, pahechan khudko tu,
Tujme Shakti asim hai,
Jo tera sanmaan na kare use thokar maar,
Or aage badh apni raah pe
jo tera intezar kar rahi hai,
Tere aanchal mai hai apar khushiya,
Jo tera hi adhikar hai,
Aaj nari Shakti ka din hai,
Aaj nari Shakti ki khud mai pahechan hai.
 
Shikha


 

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...