Monday 8 February 2016

Sang hai jeena sang hai marna - Shikha



Aap kya aaye zindagi mai humari duniya hi badal gayi,
Har saal aata hai vo pyar ka mahina,
Kuch aise hi suhani yaade vo dekar chala gaya.
 
Vo tha valentine ka din jo zindagi humari badal gaya,
Kuch karke pyara sa jadu nasha banke zahen mai bas gaya.
 
Hum honge har pal saath aapke ye ehesas dilate hai,
Jab bhi ho udas aapko gale se hum laga lenge.
 
Paheli baar ye ehesas kiya dil ne ki vajud humara  bhi hai,
Paheli baar dil ne jana ki humari ahemiyat aapke liye kya hai.
 
Kuch surprise dekar aapne kaha, kuch sharmake humne bola,
Dabi huyi thi jo baate dil ki us raaz pe se hum dono ne parda hataya.
 
Aaj Shikha ka aapse sirf itna hai kahena,
Humesha aapke sang hai jeena sang hai marna.
 
Shikha

 

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...