Friday 12 February 2016

Humara bhi aaj koi apna hai - Shikha

 
 
Humara bhi aaj koi apna hai,
Jinke sang sajaye kai sapne hai.
Anjani raaho mai kahi mil gaya tha,
Par rishta jana pahechana sa lagta tha.
 
Unki hansi ne dil humara churaya tha,
Saath zindagi bitane ka sapna sajaya tha.
Kaise dil bahekta gaya na jana humne tha,
Kaise yaado mai rahene lage the na ye samja tha.
 
Ek din aise vo zindagi mai humari aaya tha,
Humare sune man ko vo phoolo sa maheka gaya tha.
Humare khali daman ko khushiyo se sajaya usne hai.
Zindagi ke sare rang vo jaise ek saath bharne laga hai.
 
Aaj ke din kya tohfa de hum use ye kaheti hai shikha,
Ye Jivan humara unke naam karte hai,
Rab se dua hai ki kaante na chhubhe raaho mai kahi aapko,
Vo Sare kaanto ki jagah phool hum aapke naam karte hai.
 
Happy valentine my Love
 
Shikha

 

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...