Friday 22 January 2016

Apne dil mai basaya - Shikha


Humne to bas ek aapko hi apne dil mai basaya,
Na socha na jana kuch bhi to nahi.
 
Humne to bas ek aapke hi sang zindagi bitana chaha,
Na kaha na suna or kuch bhi to nahi.
 
Jidhar dekha sirf ek aap hi udhar nazar aaya,
Na dekha na dekhna chaha or kuch bhi to nahi.
 
Bevajah duniya ne humpe ye ilzaam lagaya,
Na chaha aapke dil ke siwa or kuch bhi nahi.
 
Zindagi mai bas sirf ek aapko nahi  khona chaha,
Na jana na samja na mahesus kiya or kuch bhi nahi.
 
Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...