Friday 29 January 2016

Aapko har lamha - Shikha



Aapko har lamha har pal dil mai basaye rakhte hai,
Aapke saath gujarte huye waqt ko yaado mai sanjo lete hai.
 
Aapke labo ki hansi ko sari umar yu hi dekhna chahte hai,
Aapke khwabo ko sach hote huye dekhna dil se chahte hai.
 
Aapke saath gujrate lamho ko alfazo se sajaya karte hai,
Or vo sari shayari mai hum apni saanse rakh lete hai.
 
Aapke saath baat karte karte hum khud ko bhul jaate hai,
Ye kaun sa nasha hai jo har pal chhaya raheta hai.
 
Shikha
 

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...