Wednesday 27 January 2016

Aapka vo humare balo ko chhuna - Shikha

 
Aapka vo humare balo ko chhuna aaj bhi yaad aata hai,
Chhupke se aakar hume jee bharke dekhna aaj bhi yaad hai.
 
Aapka vo humare chahere se nazar nahi hatana yaad aata hai,
Chhupke e aakar humare galo ko chumna aaj bhi yaad hai.
 
Aapka vo humare karib aana or humari saanso ka tham jana yaad aata hai,
Chupke se aakar hume apni baaho mai bhar lena aaj bhi yaad hai.
 
Aapka vo humare hatho ko apne hatho mai lekar pyar jatana yaad aata hai,
Chupke se aakar shikha ko apne sine se lagana aaj bhi yaad hai.
 
Aaj ek baar fir dil pe apna haath rakhkar bata do mere sanam,
Kya aapko bhi ye sapno se saji dastan yu hi yaad aati hai...
 
Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...