Wednesday 13 January 2016

Aaj paya hai unko - Shikha

 


 
Bahot minnat ke baad aaj paya hai unko,,
Kitni duaye ki tab jakar aaj paya hai unko,
Unko zamane ne is kadar majbur kiya tha,
Ki humari koi bhi baat uske dil ko pigla hi nahi sakti thi.
 
Dhundhte rahe hum darbadar unke nishaan,
Par kisine hume unse milvaya hi nahi.
Itni siddat se chaha humne tha unko,
Shayad isiliye vo hume mil gaya kahi pe.
 
Saath unka pakar saanse mahekne lagi,
Saath unka pakar bahar aane lagi,
Dil ka aangan sajne savrane laga,
Or dil ne kaha ,
Dekh Shikha pyar tera laya hai use khinchkar tere paas.
 
 
Shikha
 

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...