Monday 25 January 2016

Aaj ka din - Shikha


Aaj ka din nahi hai sirf tiranga laherane ke liye,
Aaj ka din nahi hai sirf khushiya mannane ke liye,
Aaj ka din hai un shahido ki virta ko yaad karne ke liye,
Jisne khud fana hokar hume ye khushiya di hai.
 
Aaj ka din hai un shahido ki maa ki virta ke liye,
Jisne khud apne dil pe patthar rakhkar apne bete ki kurbani di hai.
 
Aaj ka din hai un shahido ki sari bahen ke liye,
Jisne khud apne pyare Bhai ko hanste huye vida kiya tha.
 
Aaj ka din hai un sari virangna o ki bahaduri ke liye,
Jisne khud apne shohar ko jang mai jane ke liye vida kiya tha.
 
Vo sare shahido ko sar zukakar vandan hum karte hai,
Desh ke prati unki shahadat ko hum salute karte hai.
 
Un shahido ke alfazo ko ab hume aage badhana hai Shikha
Jo uthayega buri nazar humare watan pe unhe mitti mai mil jana hai.
 
Shikha
 
Happy Republic Day To all


 

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...