Thursday, 8 October 2015

Pyar kaha hai - Shikha

 
 
Pyar chand ki aneri roshni mai hai,
Pyar suraj ki paheli kiran mai hai.
 
Pyar phoolo ki khushboo mai hai,
Pyar barish ki bhini bundo mai hai.
 
Pyar sagar se milti nadiya mai hai,
Pyar saanso ki mahekti rawani mai hai.
 
Pyar mahekti har baharo mai hai,
Pyar barasti har ghataao mai hai.
 
Pyar chhote bachhe ki masumiyat mai hai,
Pyar aankho se chhalkti madhoshi mai hai.
 
Pyar rab se mangi har duao mai hai,
Pyar kudarat ke har karishme mai hai.
 
Pyar ek pyara sa sapna hai,
Pyar ek pyara sa geet hai.
 
Pyar har rishte ki buniyaad hai,
Pyar ek pyara sa ehesas hai.
 
Shikha


No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...