Tuesday 20 October 2015

Aap kya aaye zindagi mai humari - Shikha



Aap kya aaye zindagi mai humari taqdeer hi badal gayi,
Udas lamhe mai aapka saath mila taqdeer hi badal gayi.
 
Aapke dil mai panah mili jaise beghar ko ghar mila,
Aapke aangan mai kadam kya rakha taqdeer hi badal gayi.
 
Aapki aankho mai aks humara dekha to dil khush hua,
Aapke ghar mai kadam kya rakha taqdeer hi badal gayi.
 
Aapne Shikha ka haath yu thama jaise manzil ka rasta mil gaya,
Aapke dil mai kadam kya rakha humari taqdeer hi badal gayi.
 
Aapne chahat ka aisa mukam diya ki kahi or jaana hi nahi hua,
Aapka beinteha pyar pakar humari  taqdeer hi badal gayi.
 
Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...