Monday 12 October 2015

Aap hai to humari shayari hai - Shikha



 
Aap hai to humari shayari hai,
Aap hi humari ghazal bhi hai.
 
Aap hai to chamakta hua chand hai,
Aap hi humari chand ki roshani hai.
 
Aap hai to in labo pe muskaan hai,
Aap hi humari aankho ki nami bhi hai.
 
Aap hai to in alfazo mai kuch khas hai,
Aap hi humari shayari ki bahar hai.
 
Aap hai to Shikha ke dil mai muhobbat hai,
Aap hi humari muhobbat e dastaan bhi hai.
 
Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...