Monday 24 August 2015

Rakhi ka tyohaar - shikha


 
Rakhi ka tyohaar aa raha hai,
Par dil aaj ro raha humara hai.
 
Bhai nahi hai aaj paas humare,
Na jane kaun si duniya mai chale gaye hai.
 
Bhai aapko dhundh rahi aaj bhi aapki bahena,
Na jane kaha chhipkar baithe aap hai.
 
Aankho se ashq bahe rahe hai aaj bhi,
Bin aapke kaise manaye ye tyohaar bhi...
 
Dil mai durd beshumar humare hai,
Hum sab bahene rasta nihar rahi aapka hai.
 
Ek baar lautkar aa jao na Bhai humare,
Kabhi bhi pareshan nahi karenge ye wada humara hai.
 
Aksar yaad aata hai aapka vo pyar dular ,
Aapka vo dil se muskurana nahi bhul pate hai.
 
Rakhi pe hum sab milkar dua yahi karte hai,
Har janam mai aap hi milo Bhai banakar khwaish dil ki yahi hai.
 
Shikha
 
Aaj ki ye creation humare pyare se Bhai ko samarpit karte hai...vo jaha bhi ho unhe humare hisse ki bhi vo sari khushiya mile....
 
 
Dear Readers.......rakhi ka tyohaar aa raha hai par humara Bhai aaj humare paas nahi hai ..vo aisi duniya mai chala gaya hai jaha se koi vapas nahi aata....plz unke liye sab pray karna...

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...