Tuesday 4 August 2015

Jab bhi dekhe hum aapko - Shikha



Jab bhi dekhe hum aapko,
Jane kyo itna pyar aata hai.
 
Jab bhi baate karte ho,
Jane kyo ek sukun mil jata hai.
 
Door raho ya paas raho aap,
Jane kyo aankho mai aks aapka hi raheta hai.
 
Aap humari aash ho , armaan bhi ho,
Fir bhi sapna bankar khwab saja jata hai.
 
Aapka ye muskurata chahera,
Jane kyo bekarar kar jata hai.
 
Aap chahat ho, aankho ka noor bhi ho,
Fir bhi jane kyo dil mai sama jata hai.
 
Aapko roj dekhte hai,aapko hi chahte hai,
Fir bhi jane kyo saanse ban jaya karta hai.
 
Shikha kaheti suno mere sanam,
Humari dhadkano mai yu hi sada rahena aapko hai.
 
Shikha


No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...