Aapko ye kaise bataye ki humare liye kya ho aap,
Phoolo ki pyari si khushbu ho aap,
Phoolo ke to kai roop rang hai is duniya mai,
Par humara pyara sa gul ho aap.
Aapko ye kaise bataye humare liye kya ho aap,
Madhur sangeet ka sur or taal ho aap,
Chand ki aneri roshni ho aap,
To suraj ki sunahari kiran bhi ho aap.
Aapko ye kaise bataye ki humare liye kya ho aap,
Gum mai dube huye chahero ki muskan ho aap,
Hote hai jab bhi kabhi udas hum,
Hanste hai fir bhi us muskan ka raaz ho aap.
Aapko ye kaise bataye SHIKHA ki uske liye kya ho aap,
Humare dil mai jo dhadkan hai us dhadkan ki ravani ho aap,
tanhayi mai palke bandh karke jo sochte hai aapko,
Vo bahete huye ashq ka samundar bhi ho aap.
Shikha
No comments:
Post a Comment