Wednesday 22 April 2015

Humare itne karib ho - Shikha

 
 
Dil mai aaj ye khayal aaya,
Aakhir kyo aap humare itne karib ho.
 
Koi to vajah jarur hai ,
Jo aap humare itne karib ho.
 
Humne aapko tab se pyar kiya hai,
Jab se humne pyar ko jana bhi nahi tha.
 
Kabhi kabhi aisa lagta hai ki,
 humara pichhale janam ka koi nata ho.
 
Bahot hi chhoti si vo paheli mulakat thi,
Par tab se aap humare dil mai bas gaye ho.
 
Kaise ye pagal dil aapki or badhta hi gaya,
Jaise aap humari zindgi ka hi hissa ban baithe ho.
 
Vo pal hum kaise bhul jaye ,
Jo aapke saath bitaya Ho.
 
Vo hansi hum kaise bhul jaye,
Jisne hume diwana banaya ho.
 
Us waqt ek ajib si kasmkas dil mai thi,
Pahele pyar ko samaj hi nahi paa rahe the.
 
Aapke saath bite huye vo kuch pal,
Jaise yaado ka sagar ban gaya tha.
 
Unhi yaado ke sahare kai din bit jate the,
Aapse baate karne ko dil tarsta bhi tha.
 
Kis tarah aaye zindgi mai aap humari,
Kaise bataye, kaise samjaye.
 
Nadan sa ye dil aapko hi socha karta tha,
Aapke intezar mai palke ko bichhaye baitha tha.
 
Fir ek din pyar ka kuch ehesas hua,
Dil ne chaha izhaar e ishq karna,
 
Par kahi na kahi ye darta tha,
Aapki na sunne ko ye taiyar jo nahi tha.
 
Dhire dhire pyar badhta hi gaya,
Pyar ke is ehesas ko humne dilse jeeya.
 
Pyar ko rakha aise dil mai ki
Vo kabhi bhi kum nahi ho paya.
 
Tab dil ne jana ki pyar ka to apna hi vajud hai,
Jinse rahe e manzil aasan si ho jati hai.
 
Nahi chhuta hai nahi chhutega,
saath humara ye to saalo puarana hai.
 
Kaheti hai shikha aaj apne pyar se,
Saath tera u hi raha to zindgi ab pyari hai.
 
Shikha





No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...