Monday 27 April 2015

Dost tum bin Kaun Sahara - shikha



Jab tumhi chale muh mod, hume yu chhod, pyar se pyari,
Dost, tum bin kaun sahara....
jab yaad Tumhari Aayegi, aankho me aansu layegi,
Tab tumhi batao, dega kaun sahara,
Dost, tum bin kaun sahara......
Is naye mod pe aaye the, sab hi ke dil harkhaye the,
Ab ke hi dost, chamka bhagya sitara,
Dost, tum bin kaun sahara.....
Ab jane ke liye dhare he, dil me nahi chein humare he,
Hai aur kaun jab, aap kiya kinara,
Dost, tum bin kaun sahara...
Aap ki aaj vidai he, fir bhi ek aash lagai he,
Dost, pyari dena darshan, jaldi hi tumhara,
Dost, tum bin kaun sahara.....
Arji par marji kar dije, huyi bhulchuk mafi dije,
Liya chand maganne, tera ek sahara,
Dost, tum bin kaun sahara.......

Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...