Monday 20 April 2015

Aaj bhi is dil mai - Shikha



 Aaj bhi is dil mai aapke liye beinteha muhobbat baki hai,
Aapse jo karni hai vo kai baate abhi batani baki hai.
 
Aapne ye kaise jaan liya ki humne aapko bhula diya hai,
Ek baar dil ki nazro se dekho aapki hi zustju abhi baki hai.
 
Ek baar fursat milne par kabhi aakar dekh dil ke makan mai,
Aaj bhi aapki hi baate, aapki hi parchhai or aahte baki hai.
 
Dekho shikha ko aaj bhi vo bikhari nahi hai kisi tufan mai,
Aankho mai ho chahe ashq ki bauchhar par labo pe hansi baki hai.
 
Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...