Monday 26 January 2015

Pyar ko dil ke - shikha


Pyar ko dil ke kisi kone mai chhipaye rakhiyega,
Waqt ki aandhi ko na uspe havi hone dijiyega.

kahete kahete palko se humari chhalak jate hai aansu,
Aap har hal mai apna khayal rakha kijiyega.

Ye duniya mai har taraf hai barish gamo ki,
Aap apne dil ke aaine ko sambhal ke rakhiyega.

Khwabo mai bhi humari baato ka aap bura na manna,
Humari kisi bhi baato ka kabhi aap malal na rakhiyega.

Chalti hai saanse Shikha ki aapki is muskurahat se hi,
Galti se bhi apni ye pyari hansi ko khone na dijiyega.

Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...