Saturday 24 January 2015

Fir bahaar aayi - shikha



Lo phir bagh-e-chaman mai bahaar ayi
Phir yeh bahar pholoon par nikhar layi

Har phool ki kismat mai hai khilna phir morjhana
Kal khiza aayi thi, aaj phir bahaar ayi

Wohi zameen hai, wohi aasmaan hai
Magar badla jo mousam, mali ke cehre par moskaan aayi

Pholoon par bhavre phir mandrane lage
Phir rang birangi titliyo ki baraat aayi

Phir parindon ne darakhton par apna aashiyana banaya
Phir kaliyo ke catakhne ki who raat ayi

Deakho baagh mai phir khushi ki leher aayi
Khuda ka shokr hai, ke mali ki mehnat rang layi

Deakho phir bahaar ayi
Deakho phir bahaar aayi

Khushi ka paighaam lai
Husn ki saoghaat layi
Unknown

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...