Saturday, 29 November 2014

Kisi din - shikha


Khud apne liye beth ke sochenge kisi din
Yun hai ke.. tujhe bhool ke dekhenge kisi din

*
Bhatke huwe phirte hain kaiN lafz jo dil mein
Duniya ne diya waqt to likkhenge kisi din

*
Aapas ki kisi baat ka miltaa hi nahiN waqt
Har baar ye kehte hain ke bethenge kisi din

*
Aey jaan teri yaad ke be-naam parinde
ShakhoN pe mere dard ki utrenge kisi din

*
Jaati hai kisi jheel ki gehraai kahan tak
AankhoN mein teri doob ke dekhenge kisi din

*
Khushboo se bhari shaam mein jugnu ke qalam se
Ek naz’m tere vaaste likkhenge kisi din

*
Soyenge teri aankh ki khalwat mein kisi raat
Saye mein teri zulf ke jaagenge kisi din

(Khalwat = tanhaai)

*
“Amjad” hai yahi ab ke kafan bhaandh ke sar se
Us sheher-e-sitamgaar mein jayenge kisi din

*
Shair : Amjad Islam Amjad


No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...