Thursday 4 December 2014

Such to yahi hai - Shikha



Such to yahi hai ki hum shayar nahi hai ,
Fir bhi baya karte hai dil ke ehesas.





Such to yahi hai ki hum unhe bahot pyar karte hai,


Fir bhi sajate rahete hai apne pyar ko alfazo se.





Such to yahi hai ki kiya vada humne kabhi khud se hai,


Likhte rahenge tab tak jab tak chalti hai ye humari saanse.





Such to yahi hai ki us rab ki ye khwaish hai,


Kuch bhul bhi jaye hum fir bhi zinda rahenge ye ehesas.





Such to yahi hai ki unhe bada naaz humpe hai,


Jisse Har roj naye naye sapne sajati hai ye aankhe.


Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...