Sunday 23 November 2014

Aankhe Tarasti hai - shikha

Aankhe tarasti hai....
Kale kale se badal yaha pe jyada nahi sajte hai,
bhini bhini barish ki bundo me na koi maje lete hai.
Barish bhi barish yaha pe nahi lagti hai,
bacche bhi kagaz ki naav nahi banate hai.
Na AC vale kamre me nind suhani aati hai,
Khuli chhat pe sone ki maja nirali hoti hai.
mungfali, bair, jamrukh kaha yaha koi khate hai,
samose or pizza khakar hi khush raha karte hai.
Dil dukhne par maa ki mamta yaha kaha mil pati hai,
Gadi ke dhuve me hi har khwab sisakte rahe jate hai.
Apne ghar ke jaisa pyar yaha kaha mil pata hai,
such kahete hai..kabhi kabhi to aankhe tarasti raheti hai.
Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...