Tuesday, 25 September 2018

Ek baar haa kar hi do - Shikha


Aaj aap bas ek baar haa kar hi do,
Apne dil mai thodi si jagah de do.

Jis pyar ko dil mai chhupa rakha hai,
Us pyar ko aaj aap abEk  baya kar hi do.

Kitna intezar kiya hai is pal ke liye humne,
Aaj dil ke sare raaz aap ab khol hi do.

Laila-majnu ki kahani jaise mashhoor hai,
Aaj meri muhobbat ko bhi aabad kar do.

Aa jao ab ki aankho ne ashq bahaye hai,
Aaj meri muhobbat pe  nishan chhod do.

Apne dil mai is tarah chhupakar rakho,
Ki muhobbat ka pyara aashiyana saja do.

Shikha

Veg cheese pizza paratha


Bahare aati hai - Shikha


Bahare aati hai aapke aa jaane se,
Bagiya mahekti hai aapki hansi se,
Dil khush hota hai aapke aane se,
Par Shikha ki subah hoti hai,
Aapki chahere ki roshni se.

Shikha

Chanda sa mukhda - jain stavan


Aapki aankho se jo ashq bahe - shikha


Aapki aankho se jo ashq bahe vo aankhe humari ho,
Aapki raaho mai jo gum aaye vo raahe humari ho,
Apne pyar ko hum us mukam pe le jaaye sanam,
Aapki saanse jo ruke to maut sirf humari hi ho.

Shikha

Pyar ki jarurat - Shikha



Sangit ki jarurat mahefil mai hoti hai,
Dosti ki jarurt zindagi mai hoti hai,
Bina pyar ke adhuri si hai zindagi,
Pyar ki jarurat har dil ko hoti hai.

Shikha

Monday, 24 September 2018

Jab se tum gaye ho - Shikha


Gum sum sa hai ye mera dil jab se tum gaye ho,
Khushi meri hai koso door jab se tum gaye ho.

In tanhai ke aalam mai sirf tumhe yaad karke,
Aansu baha diya karte hai jab se tum gaye ho.

Aaine mai apna chahera bhi nahi  hum dekhte,
Kiske liye ab kare shringar jab se tum gaye ho.

Suni suni si rahene lagi  ye dil ki duniya meri,
Khamosh hai ye zuban meri jab se tum gaye ho.

Kyo lagne laga hai roshni hote huye bhi andhera,
Sirf nibha rahe hai apna furz jab se tum gaye ho.

Door hote huye bhi humesha paas rahene lage ho,
Sochti raheti hu ye kaise hua jab se tum gaye ho.

Saanse chal rahi hai meri sirf tumhari hi saanso se,
Sari khushiya tumse jinhe tum apne saath le gaye ho.

Shikha




Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...