Friday, 21 July 2017

Rishton ke sare manzar - ghazal


Pyara sa khwab banakar - Shikha


Pyara sa khwab banakar teri aankho mai rahena hai,
Tere har durd pe jakham banakar use mitana hai,
Jo bhi khushiya meri kismat mai hai e Sanam,
Vo sari khushiya sirf or sirf tuj par hi lutana hai.

Pyara sa aks banakar tere dil mai rahena hai,
Teri har dhadkan ko meri dhadkan se milana hai,
Jo bhi kaante  rah mai hai teri e mere Sanam,
Vo sare kaanto ki jagah sirf phool hi bichhana hai.

Pyara sa saathi banakar har kadam saath chalna hai,
Haath mai tere mera haath har pal rakhna hai,
Jo bhi aaye tufan usse milkar bahar niklna hai shikha
Vo sare gum se alag tere labo ki muskan banna hai.

Shikha








Paryushan mahaparva song - jain stavan


Tuesday, 18 July 2017

Mere is dil ki chahat sanam - Shikha


Mere is dil ki chahat sanam kal bhi tum the or aaj bhi tum ho.
Mere is dil ki tadap sanam kal bhi tum the or aaj bhi tum ho.

Har lamha bekarar huyi rahi mai khud hi khud ko samjati rahi,
Mere is dil ki dhadkan sanam kal bhi tum the or aaj bhi tum ho.

Nahi janti aaj bhi mai ki tere dil mai meri jagah kaun si rahi,
Mere is dil ki aadat sanam kal bhi tum the or aaj bhi tum ho.

Pal pal harpal tadapti hi rahi tujse milne ko ye diwani shikha,
Mere is dil ki Ibadat sanam kal bhi tum the or aaj bhi tum ho.

Shikha



Best English romantic songs


Dikhai diye yu ke bekhud kiya - ghazal


Sabandho chhe aapna purana purana - jain stavan


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...