Thursday, 9 March 2017

Tyag ki chhavi - Shikha


Mera bharat bahot bada or Mahan desh hai. jaha pe har vaykti ke astitav ko nayi pahechan milti hai. Jaha nari ko devi mankar uska sanmaan or puja ki jati hai aisa kahete huye suna hai maine sabko .
Bachpan se lekar badi hone tak yahi suna tha maine.Par aaj aap sabse yahi sawal mai bar bar puchhti hu. kya sach mai nari ki devi mankar puja ki jaati hai ? Janti hu kisike paas iska jawab nahi hai or na hi hoga. Kyoki aaj bhi kai jagah pe nari ki aisi halat hoti hai jinhe baya karna mere bas ki baat nahi. sirf aansu hi bahete hai. kyuki aaj bhi nari ko ek nirjiv vastu mana jaata hai. uski feelings ki koi kadar nahi ki jaati. Or aise Mahan desh mai sharifo ke libash mai hevan bhi rahete hai. Jo nari ke sanmaan , uske abhiman ko ek hi pal mai chur kar dete hai.

Ye creation mai aaj special women's day ke liye likh rahi hu to abhi isse jyada kuchh nahi bolungi. Aap sabse sirf itni request hai ki Ek aurat ke astitav , or uski mahanta , tyag or niswarth seva ki bhavna ko samjo.


Kuchh bhi manga nahi, or kuchh chaha bhi nahi,
Badla to khud ko ki rishta koi tut na jaaye kahi.

Apni aadto ko badla, apni pasand ko bhi badla,
Badla to khud ko ki kisi ko dukh ho na jaaye kahi.

Apne durd ko chhipaya, apne ashru ko chhipaya,
Badla to khud ko ki kisi or ko chot na pahunche kahi.

Sabko apna banaya par khud ko na kisi ne apnaya,
Fir bhi chah itni ki mera ghar mai vajud to rahe kahi.

Khud ke sapno ko bhulakar apno ke sapno ko sajaya,
Par kahi na kahi nari ke tyag ki chhavi ozal ho gayi kahi.

Shikha






















Tanha khud se - ghazal


Love hits of vidya vox


Paheli dafa..


Gujarati ghazals collection


Monday, 6 March 2017

Tumse bichhadkar - Shikha


Tumse bichhadkar ab ek pal bhi mai na jee paaungi,
Sirf juda hone ka khayal dil ko pagal bana jaata hai.

Saath hai jeena saath hai marna or na kuchh chahungi,
Sirf tera hone ka ehesas hi dil ko sukun de jaata hai.

Dekha hai ek dhundhla sa khwab jise pura karungi,
Sirf tera saath hi meri har mushkil door kar jaata hai.

Beinteha muhobbat ko meri aaj baya karke rahungi,
Sirf tera pyar zindagi ko meri rangin bana jaata hai.

Tumse bichhadkar ab ek pal bhi mai na jee paaungi,
Sirf juda hone ka khayal dil ko pagal bana jaata hai.

Shikha





Tuesday, 21 February 2017

Tera hi aks basa hai - Shikha


Meri nazaro mai ek tera hi aks basa hai,
Meri har shayari mai ek tu hi raha hai,
Tuje soch ke likh du to shayari meri,
Meri har dhadkan mai ek tu hi raha hai.

Shikha





Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...