Wednesday, 2 November 2016

Romantic ghazals




Sapno ke bij - Shikha


Maine kuchh sapne sanjoye the,
Jab nazre teri nazar se takrayi thi,
Teri muskan pe mai fida huyi thi,
Saath tere zindagi bitani chahi thi,
Fir sanjo liye maine bhi sapno ke bij.

Sapne tere mere saath jeene ke,
Har lamha saath bitane ke,
Tuje pyar se gale lagane ke,
Tuje har pal  saath dekhne ke,
Rop diye the nanhe paudhe.

Ummid bhi yahi ki thi maine,
Ki kal jab ye ped bade honge,
Sapne bhi bade honge,
Dhime dhime vo sakar honge,
Or fir milega sundar fal muje.

Sapne sare bade ho rahe the,
Aankho ke samne khade jo the,
Koplen sari muskura rahi thi,
Nanhi kaliya khilkhila rahi thi,
Sapne badhne jo lage the.

Achanak hi ek tufan aaya tha,
Sapne sare bikharne lage the,
Saath hokar bhi tu saath na raha,
Zindagi jaise boj lagne lagi thi,
Zindagi jaise parihas ban gayi thi.

Shikha



Sunday, 23 October 2016

Socha bhi nahi tha - Shikha


Muje ye sacchai batana kya jaruri tha,
Maine to kabhi ye socha bhi nahi tha.

Mere chahne se to kuchh nahi hona tha,
Safar e zindagi dil se bitana chaha tha.

Maine tuje har rah par dhundha bahot tha,
Tu kahi mere aaspaas nazar nahi aaya tha.

Jab jab bhi tuje dil se chaha maine tha,
Tu utna hi mujse door hone laga tha.

Tumne na  muje samajna jaruri samja tha,
Mere pyar ko na tune kabhi jana tha.

Janti hu mera vajud ka aaj bhi koi mol nahi,
Fir bhi sang chalungi ye shikha ki chahat hai.

Shikha





Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...