Hello Friends, Read my shayari collection.....and i promise ..you will all enjoy my creativity! Shayari Shikha me aap sabka swagat hai...Is site ke liye sabse pahele hum humare Raj ka shukriya ada karte hai..jinhone hume encourage kiya...saath diya...or humara honsla badhaya ki ab bhi hum kuch likh sakte hai.... Readers.....Shayari humare jivan se aise judi hai jaise ki saanse...Jo baat hum shabdo se baya nahi kar paate...use hum shayari se bakhubi baya kar dete hai.
Tuesday, 5 June 2018
Monday, 4 June 2018
Meri parchhai jaisa hai mera pyar- Shikha
Meri parchhai jaisa hai ye mera pyar,
yu to humesha raheta karib mere
fir bhi hai vo mujse bahot door,
Yu to humesha hota saath mere
fir bhi raheta hai vo kahi ghum,
Yu to humesha roshni bikherta hua
Fir bhi andhero mai bhatkta hua,
Yu to humesha muskurata hua,
Fir bhi ander se bahot udas ,
Chahkar bhi paa na saku,
Chahkar bhi bhula na saku,
Aisa hi hai Shikha ka pyar.
Shikha
Friday, 1 June 2018
Na jaane vo kaisa ladka tha - Shikha
Muje dekh vo hansta tha,
Meri baate vo sunta tha,
Par kuchh nahi bolta tha,
Na jaane vo kaisa ladka tha.
Meri Raho mai vo milta tha,
Muje dekh hansta bhi tha,
Mera khayal bhi rakhta tha,
Na jaane vo kaisa ladka tha.
Unki aankho mai pyar tha,
Chahta tha par bolta nahi tha,
Jaise koi dar unke dil mai tha,
Na jaane vo kaisa ladka tha.
Shikha
Subscribe to:
Posts (Atom)
Palko ko maine - Shikha
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
dil hi to hai meraa, main isko manaaun kaise nasamajh hai yeh, main isko samjhaaun ka...
-
Sukhe patto ki tarah bikharati chali gayi thi mai, Tumne aag lagayi to jaana kaun apna kaun begana. Shikha